Insaaniyat- The Eternal Flame

on Thursday, February 11, 2010

Khoon ki nadi, lahu ki baarish, nafrat ki aandhiyan, laashon ka kabristan,
har taraf yahi manzar hai |
Insaan ne khud kiya insaaniyat ko nist-e-naabut hai |
Fatvon aur farmanon ne kiya hai sab ko behaal,
Dharm ki aad me chhipe shaitanon ka bichaya hua hai ye jaal |
Har rajnitigya ka bas hai yahi kehna,
ek gandi macchli ne kiya hai pure talaab ko ganda |
Ghhoskhori, bhrashtachari ne mil ke kiya hai sab ko n***a |
Sacchai, seva-bhav ka ghoom raha chakra manda |
In sabki rahegi maang, jab tak hai aam janta shaant,
Gandhigri ko apnaon doston, samay ki yahi hai demand |
Jab tak chup rahoge,
in sab bimariyon ke aaga yun hi jhukte rahoge |
Ab utho aur umeed ki ek kiran bano,
andhere ko door kar swarnim yug ki ore chalo |
Wo lamha kitna haseen aur suhana hoga,
jab har taraf shanti aur RAM_RAJYA hoga |
Sahi mayno me tab jagega Hindustan,
jab Bapu ke usolon ko apnaega har ek insaan ||

2 comments:

PULKIT said...

ironical and hard hitting

Adi said...

Thanks bro... Hope you liked it too...