Dastan-e-Mohabbat

on Monday, February 15, 2010

Aksar is mann me ek prashn uthta hai,
samudri toofan samaan uthal-puthal machata hai.
Kyon hamesha dosti ke tarazu me pyar tulta hai,
yahi ek sawaal dimaag ko kachondh jaata hai.
jab-jab maanga hamne kisi se iska jawaab,
mili utaar me ek pyari muskaan lajawab.
Logon ko niruttar dekh mann lachar ho utha,
sabko bebas dekh mand-mand hans pada.
Manzar vichaar kar apna,sihar utha agle hi shan,
hriday me fir hui ek halki si chubhan.
Soch kar saham gaya ki kahin koi uski lachaari par hansta hoga,
jaane kaun mod par gam uski raah takta hoga.
Unki bewafai ka kehar kuch is tarah barpa,
zindagi ko hanri jhakjhod kar rakh diya.
Unke sitam se khud ko maut deni chahi,
par unki yaad jeene ko majboor kar gayi.
Kuch is tarah bichde hum is samaj se,
duniya use dekh awak reh gay.
Bikhra mera aashiyana tinka-tinka aise,
sukhe patton ko uda le gaya ho toofan jaise.
Jal kar khak hue mere armaan kuch is tarah,
door-door tak roshni ho gayi,
zaalim ke path ko jagmag,
hamare jeevan ko ghor andhkar me dubo gayi.
Roshni se ab hamara koi vaasta nahi,
andheron se joojhna hame aata nahi,
jeeye jaate hai unke lautne ki chah me,
doobe rehte hain apni tanhaiyon me.
nahi aata hai unka koi paigam,
koi gam nahi,
zindagi bitane ke liye,
sanam ki madhoshi bhi kuch kam nahi.

0 comments: